Monday, December 26, 2011

Ay Quaid-e-Azam tera Ahsaan


Yun di hamain azadi k duniya hui hairan
Eh Quaid e Azam tera ahsan hai ahsan
Tera ahsan hai, tera ahsan
Har tin pe Musalmano pe chaye thi tabahi
Mulk apna tha aur ghairon k hathon main thi shahi
Aise main utha deen e Muhammad ka sipahi
Aur Naara e Taqbeer say di tune gawahi
Islam ka jhanda liye aaya sar e maidan
Eh Quaid e Azam tera ahsan hai ahsan
Dekha tou jo Iqbal ne ik khawab suhana
Us khawab ko ik roz haqeqat hai banana
Ye socha jo tune tou hansa tujh pe zamana
Har chaal say chaha tujhe dushman ne harana
Mara woh tune dao k dushman bhi gaye maan
Eh Quaid e Azam tera ahsan hai ahsan
Larne ka dushmano say ajab dhang nikala
Na top na bandooq ka talwar na bhala
Sachai k anmol asoolon ko sambhala
Jinnah tere paigham main jadoo tha nirala
Iman wale chal pare sun ker tera farman
Eh Quaid e Azam tera ahsan hai ahsan
Naqsha badal k rakh diya is mulq ka tune
Saaya tha Muhammad ka Ali ka tere sir pe
Duniya say kaha tune koi humse na uljhe
Likha hai is zameen pe shaheedon ne lahoo say
Azad hain azad rahain ge ye Musalmaan
Eh Quaid e Azam tera ahsan hai ahsan
Yun di hamain azadi k duniya hui hairan
Eh Quaid e Azam tera ahsan hai ahsan
Tera ahsan hai tera ahsan